crossorigin="anonymous"> all problam solution all problam key Kuranepak se har bimari ka ilaj ho skta hai: February 2022

Tuesday 1 February 2022

Dharm or insan

 Asalamualaikum dosto aaj hum dharm or insan ki baat karenge jab se ye duniya bani hai bade bade sant mahapurush or paygamber is duniya me aaye unho ne apne apne dharm ko logo tak pahochaya kisi bhi dharm guru ne ye nahi kha ke mera dharm dusre dharm se acha hai unhone kabhi kisi dharm ko bura nahi kha vo logo ko duniya me ek dusare se jodne aaye the na ke todne kya kisi bhi dharm ki kitab me ye likha hai ke tum dusre dharm ka apman kro nahi likha hai kya bhagvan sree raam ne ye kha tha ke mere mander me sirf hindu hi aayenge or kisi dharm ke Insan Ko aane ki izazat nhi vo sab ke liye is duniya me aaye the kya khvaja garibnavaj ne ye kha ki meri dargah me sirf muslim he aayenge or kisi dharm ke Insan Ko aane ke ezazat nahi nahi kha kyo ke vo sab ke liye is duniya me aaye the insaan galat ho sakta hai lekin dharm kbhi galat nahi hota kyo ke kisi bhi dharm ne kisi Insaan ko ye nahi kha ke tum dusre dharm ka apman kro agar kisi Insaan ne kuchh galat kiya hai to aap us Ko galat kah sakte hai lekin us ke dharm ko galat nahi kah sakte jis ne gunah kiya hai galat kiya hai basak use aap saja do lekin us ke gunah ke saja kisi begunah ko nahi de sakte hamare nabi ne farmaya agar tumhara padosi bhukha hai to pahele us ki madad karni hai fir khana khana hai chahe vo kisi bhi dharm ka insan ho us ki madad kro unhone ye nahi kha ke sirf muslmano ki madad kro esa nahi kha kyo ke koi bhi dharm bhalai karna sikhata hai burari karna nahi kuchh matlabi log apne fayde ke liye dharm ke naam par insano ko ek dusare se ladate hai or insan bina kuch soche ek dusare se ladate hai agar kisi ne kuchh galat kiya hai to use saja de do bat vha khatam ho jaati hai galat us insan ne kiya hai us ke dharm ne nahi vo agar kisi ke baato me aaker kuch galat karta hai to hum dharm ko galat nahin kah sakte kyo ke kisi bhi dharm ki kitab me kisi ke sath bura karne ki baat nahi ki agar insan samaj jaye ke hum  yaha Bhalai ke liye aaye hai burari ke liye nhi agar waqt rahte insan nahi sudhra to is duniya barbad ho jaye gi 

Labels: